Na janu main, kya hai ye rishta tere mere beech? kyu achanak teri awaaz se fir jee jaati hoon.
Sparsh se tere kis kadar khil jaati hoon. Yoon to barasti hai tu sabhi par ik jaesi he, fir kyu tujhse itna apnaapan rakhti hoon.
Na jaanu ye ki sehalti hoon teri godd main, ya tujhe apni baahon main bhar rakhti hoon. Jaanu to bass itna ki tujhe khudd sa samajhti hoon.
Khilkaar main teri boondo ki main khud ko muskurata paati hoon, behti uss dhara main, main bhavnao si behti jaati hoon.
Vyast is jeevan main jab kudratt se door hoti jati hoon, tu mamta si bann kar mujhse lippat jati hain, teri ye shiddat he to mujhe mujhse fir milati hain.
Manisha Dawar
Share your thoughts, comments with us*
Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India
Tera Sparsh