Relationships
Wo zamana

Kya yaad hai tujhko wo zamana ? Navratri ka wo josh purana.

Purey parivaar ka sang beth jaikarey lagana to kabhi bhajan gun gunana..

Vrat kaha wo to dawat hoti thi.. Jo kitchen main khade pakore tal raha hota tha.. uski shamat hoti thi..

Jitney aalo 9 dino main khatey the , shayad utne 9 mahino main na khatey the 

Scam wo, chips, vrat ki namkeen, mumfali or sabudana papad ka.

Murder wo detox kay concept ka.

Hua karti thi wo meethi meethi thand, jab raat ko jhanki dekhne nikala karte the bacho kay jhund..

Ram leela dekhne jaya karte the..sang jhuley khaya karte the.

Kayi dino kay baad halwa puri choley ka prasad.. bas aur na kuch chahiye.. baki sab hai facade.

Bachey ko sunaney ko bas ye kahani reh gayi.. ye dastan humari zubani reh gayi.
 

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India