Relationships
Zindagi kuch to deti hai

Gir Gir kar uthna chalna sikha deta hai.

Tanhapan parayo ko apna bana deta hai, lambey safar main aksar humsafar mila deta hai.

Dooriya aksar rishto ka mehatv bata deti hai.

Bookh aksar khane ka swaad bada deti hai.

Pyas pani ko Amrit bana deti hai.

Garmi chao ko bahumuly bana deti hai, mehal or jhopdi Kay beech Kay fasle ko ghata deti hai.

Kareeb se nazar aa rahi maut aksar jeena sikha deti hai.

Tumse pal pal cheente in lamhon main zindagi anubhav dila deti hai.

 

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India