Bayaan Karney jo chali aaj apni Zindagi, ehsaas hota hain mano chunotiyo ne hee nibhayi mujhse bandage.
Taeraaq na thi par chor di gayi thi samandar main, dubi jo kuch palo ke liye, machal padi fir dhundhne ko kinara, tha meharbaan rab bhi kabhi, adhura he sahi kuch palo ka milta raha sahara.
Afsos hain ki jab jab sachayi ko apnaa khud ko mazbut banaaya, Rab ne fir pyar ke kuch isharey kar mujhe apney lakshy se bhatkaya. Sachai ka dard kuch palo k liye mohabaat ki baho main samaya. Par tuta jab ye sapna dil mera laacharta se dehlaya.
Tuttey tukdo ko jodd fir banaaya darpann, darare badti gayi un main har pal, ab to bas naam ka lagney laga apnaapan.
Vishwaas kar apney karmo par yu to baati ko rakha jalaay, nachaya usko tufano ne, bujhi kai baar apna astitv mita kar, or karti bhi kya wo akeli asahaay.
Dard se bhar chukka hai gaghar itna ki apney aansu bhi chubhte hain, muskuraney ki jab chhah kar bethey to yeah lab bhi dukhtey hain.
Jaaney kab tak chalegi ye sukh ki dukh se kranti, jeewan hota hain mael in dono kaa ye main bhali bhanti hu jaanti, talashti hu to uss dagar ko jisme hogi kuch palo ki shaanti.
Kathor bana pada tu kyu aesa, bin jazbaton k pathar ki murat jaesa, aaj tak Kabul he to kiya hai, inkaar na karungi aagey bhi, tu karmo ka phal de. Chahu na tujhse kuch aur, bas itni si raza meri maan le, mangu na tujhe khushiyo ki wajah, bas mujhe kuch zindagiyo ki muskurahat ki wajah banaa de.
Jab tak jeeyu jodti rahu kai jeewan par mul, marr ke to nischit hai mera bhi banna kewal dhul.
Manisha Dawar
Share your thoughts, comments with us*
Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India
Aakhir kya hai zindagi