Waqt ka pahiya jese chala, mann main uthi fir wahi justaju, khuli ankho se maano dekha ho sapna, unn khubsurat palo main, main hui tujhse rubaru. Pehchanu na ki kya tu hai wahi, chahti thi main jaesa apna humsafar hu ba hu. Abb jab dekh liya hai tujhe, dil main uthti nai talab, tujhe hai jaan ne ki aarzu.
Dekha jab tujhe, to dil ne kaha kuch to iss rishtey main surur hoga, mere ankhahey shabdo ka tujh pe bhi to asar zarur hoga. Mil bethenge jab ye do dil to chehre pe humare ishq ka nur hoga.
Zikar jab hua tera pehla, dil tha mera bhi akela, na jaan thi na pehchaan thi, baatein thi kahi par bhawnaye bezubaan thi. Intezar kar rahe tere pehle kuch shabdo ki dastann kab baya thi. Kishto main banti uss guftagu ki gehri zubaan thi.
Arsaa bitaa hai abb, bann padi pehchaan hai, khubsurat lamho ke nivesh ki ye dosti bann chali pehchaan hai.
Manisha Dawar
Share your thoughts, comments with us*
Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India
Anjaana Humsafar