Relationships
Antt, inspired by Sunset

Yeah Saty jaanta Har koi, Chahey Anpadh ho ya shikhshit, Shuruaat hui jis cheez ki uska antt bhi hai nishchit,

Kai dete antt key kai kaaran, kuch ko lugta ye saadharan.

Antt kahi lata hai jeet, to kahi laata hai haar, kuch ho jaatey issey krodhit to kuch prakat karte apna aabhar. Gyani wo he manushy hai jo sweekar karta isey har roop main, our prakat karta sadaachar.

Har pehlu hum sabne dekhe kai ant, kuch the saty or kuch the mann ghadant.

Jaese ek jeet chupi hoti hai har ghaat ke sath, har antt laata hai apney sath nayi shuruat.

Sweekar le iss saty ko jo, wo he hai gyani, behak na mann ke behkawe main, iski to chanchal hai vaani.

Naitr khol apney, apni soch badal, kewal guru he nahi deta seekh, kudrat bhi deti hai samasya kaa hal.

Nischit he hai jab antt, soch ko apni sundar banaa, Prerna le uss dhaltey Suraj se.

Antt kaal bhi dilo ko lubha, bhuchakit reh jaaye duniya saari, tu apne har antt ko itna sundar banaa.

 

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India