
Hai wo mere andar bhi
Hai Betha woh mere andar bhi..Tufaan sa aksar lekay aata hai..
Kabhi krodh, kabhi moh, kabhi lalach, kabhi ahankaar bann mujhko chunoti de Jata hai.
Main Chalna chahu ik aur, who mujhe dusri aur kheechna chahta hai..
Haarti hoon uske hath kabhi.. to kabhi vijay paati hoon..pati hoon vijay jab shant mann, sthir dimaag se uskay udeshy ko samajh pati hoon.
Sahi galat ki iss Kashmokash main kabhi balwaan to kabhi khud ko kamjor paati hoon.
Jaana hai maine usey shant karne ka hai bas ek tarika.. apne dimaag ko is kadar parikshan dena.. chahe mushkil lagey jitna bhi.. jhuth ko sach se haraana, lalach ko santushtata se mitaana, krodh ko shant mann se behkana..galat kay badle sahi ko chunne ki aadat banana.
Vijay Dashmi ki Hardik Shubhkamnaye..
Manisha Dawar