Home New Release Relationship Nature Learning From Life Daily Inspirations Inspirational-quotes Video Gallery Contact Us Nature Ik Subah 21-Oct-2018 Aksar mehsoos kiya hain khud ko muskuratey, aey kudrat Tera lutff uthatein. Parvat, saagar, ratiyaan, sehar, nadiya pakdi hain aaj Teri Dagar. Tere shor main Hain Ik sukoon, Mann main bhar jaata ik junoon. Nadiya ki wo Kal Kal, dil behlati Har pal. Tera ye kinara bhar deta hain bhavnaye aapar. Ik ik pal main Lamhain bann jaatey itne ki vyakt karne ko Kam padh jaata hain shabdo ka Bhandaar. Thandi ye Hawa tann ko deti hain sehlah. Meethi si yeh dhoop audhne ko main bahein deti hoon phela. Atal se yeah pathar, baithe rehte nidar, beetatey waqt ke sath jaatey hain ye nikhar. Nirantar behtaa yeah pani, kuch aesi he to hain zindagani, aaj yaha to Kal waha, Har pal rachega ik nayi Kahaani. Manisha Dawar Share your thoughts, comments with us* Post Feedback
Ik Subah
Aksar mehsoos kiya hain khud ko muskuratey, aey kudrat Tera lutff uthatein.
Parvat, saagar, ratiyaan, sehar, nadiya pakdi hain aaj Teri Dagar.
Tere shor main Hain Ik sukoon, Mann main bhar jaata ik junoon.
Nadiya ki wo Kal Kal, dil behlati Har pal.
Tera ye kinara bhar deta hain bhavnaye aapar. Ik ik pal main Lamhain bann jaatey itne ki vyakt karne ko Kam padh jaata hain shabdo ka Bhandaar.
Thandi ye Hawa tann ko deti hain sehlah.
Meethi si yeh dhoop audhne ko main bahein deti hoon phela.
Atal se yeah pathar, baithe rehte nidar, beetatey waqt ke sath jaatey hain ye nikhar.
Nirantar behtaa yeah pani, kuch aesi he to hain zindagani, aaj yaha to Kal waha, Har pal rachega ik nayi Kahaani.
Manisha Dawar