Relationships
Ik ikraar

Dekho fir se chal padhi thandi Hawa, samjho Zara ye kehti hai kya.

Chukar gayi dilo ko jitne deti gayi jeene ki wajah.

Tip tip karti bundhe ye madham, kehne lagi thamja Zara jee le ye sargam.

Phool jo aese khil khilate, Mann ko yeah fir moah lejate.

Thaki hui si zindagi main ye aatmvishwas jagaate.

Soch main hoon ki Agar mundh li aakhein. Kya Thamm paayengi ye saanse?

Kuch natkhat sa hain aaj ka ikrar, kudrat ki bahon main ho chala hain khud se he pyar. 

Kuch to hain is varsha main, main yu he nahi muskura rahi. Jaam ki zarurat hain kise ye shaam yuhi behka rahi. 

 

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India