Relationships
Kalyug ka pyar

Kalyug Ka Pyaar 

Heer Ranjhaa Ka gaya Zammana, Shama ke peeche ab kaha hai parwana?
 Pyar ka matlab badal gaya kab, kisi ne na jaana.
 

Lugta to hai ab bhi khubsurat sa ehsaas, par reh gaya hai kya? Mann ka Vishwaas ya tann ka ehsaas.
 Duriya chahe thi kai. Par paas he uthne rehte they dil,
 Aaj to takniq ka zammana hai, nazar aate hai bas badte hue Bill.
 

Naino main basti thi jo sajan sajni ki tasveer aaj mobile/laptop screen pe hai sajti, Ghar par bhi Sharma jaati thi jo gauri, aaj sarey aam baho main hai pigalti.
 

Dosh chahe jiska ho, sajan ka ya sajni ka, pyar ke naam par tamaasha bana raha hai aaj ka yuvak apne yovan ka.
 Bin kahe ek dusrey ke jazbaat samajh jaate the. Bol ke bhi samjha paye aaj wo alfaaz kaha?
 
Saadgi ki wo aabaru aaj hai dikhawe ke roobaru.
 Kaliya sundar lugti thi kabhi, aaj to hai guldaste ka zamaana, Khuli hawa or chanda ki Chandani sa suhana tha kuch naa, aaj to band kumrey main mombati ki loh se padta hai lubhana.
 

Bhawnaye chahey aaj bhi hai waesi, sabr kaha ki samajh jaaye batein aesi.
 
Aankho main aaj bhi hai nami, par samjhe kaun ki hai samay ki kami.
 Padh ke gyani bane hai  aese, baliddan apno ki bhavnao ka karte ja rahe, or Ghamand karte hai, dekho kamaye hai kitne paese.
 

Samajh agar aaj bhi tumko ye baat aaye, katraogey nahi darpan se nazarey milatey, Ki antar aatma to ye he kahegi- “Der aaye par Durust Aaye”.

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India