Relationships
Karvachauth

Purn se ghatt taa chand ye dekho kehar hai machata, khil uthti jab pratima jal se bhari matki par tab karwachoth kehlata,
Yu to har pal he lagta sundar, par apna mehatv ye aaj pehle se kuch adhik hai jattata.
Prem se bandhi har jodi ko apni chandani se sajaata..sringhar se paripurn us pareenita ki chavi ko mann lubhavna banata..
Kaunsa tika batao, lagta jyada sundar, wo jo holey se asman main chadhta, ya wo jo gori ke mathey pe hai sajtaa..
Chauth ka chand ye sandesa de jaata, rishta wahi hota safal jo sabar ki seedhi par prem se ek duje ka hath tham chadta jaata.

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India