Relationships
khushi saral aur sampoorn

Iss kambakht dimaag ne beh wajah khushi ko badnaam Kar rakha hain, khushi ka kya hain, muskuratey he aa jati hain.

 

 Kabhi baarish main bhuney huye bhute sang to kabhi chai pakodey jaese zubaan pe chaa jati hai.

 

Garmiyo main thandi kulfi si, to kabhi baraf kay goley si pighal jati hain.

 

Kaha bhatakne chaley musafir? Bachpan ki yaadon sang wo pal bhar main aa jati hain.

 

 

Muskurahat si saral hain khushi, ganit nahi jaanti, kuch lamho se jald he din bhar pe dera jama jaati hain.

 

 

Kabhi manchahey gaane si gunguna jaati hain to kabhi magan ho chalakti jaati hain.

 

 

Kabhi Soch kay dekhna uss saral zindagi kay baarey main. Nathkhat bachey si uchalti aayegi, Jeevan main naya utsaah bhar jaayegi.

 

 

Manisha Dawar 

 

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India