
Khwahishey
Zarurato or chahto kay beech ka Safar..
Safar jiska sirf yeah dil hai humsafar.
Kabhi khojta to kabhi pujta, paaney ko wo khwahish jaaney kitni kathinaiyo se hai insaan junjhta..
Khwahishey jinko paatey he jaaney kese mehatv ghat jaata
Khazane sa kimti wo achanak kese tinke sa bann jaata.
Jab ye khushi hai bas pal bhar ki, to fir Jo khwahish puri ho naa saki, wo adhuri he achi.
Jo humko dikhta wo keval ek bharam Hai..Jo likh raha jeevan wo to Bram Hai..
Aaj kay dukh pe tu kal muskurayega..Kal fir Jo aayega wo bhi chala jayega..
Khwahish nahi ye tera fitur hai, Jo likha hai, wo milta zaroor hai.
Manisha Dawar