Relationships
Kismat Bante Dekh

Kismat bante dekh !

Ghistey huye hatho ki lakirey badaltey dekh 

Chunotiyo ko avsaro main badalte dekh.

Dekh sakta hai agar to kathinai kay uss paar chalke dekh 

Akele na pahunch paye to humsafar ko sath lekar dekh.

Dekh uss raat ko gaur se, usmein sitarey bhi hai.

Andhero main basey wo raah dikhatey bhi hai.

Dagmagaye agar to fir sambhal kay dekh

Apne aap se ladh, khud ko paakey dekh.

Bhagtey the jo duur, tere pass aayenge. Kamjor samajhte the jo tujhe.. tujhse he himatt paayenge.

Dekh kese wo jhuriya Muskurahat main badalti hai.. tere pehchananey se pehle kismat ki lakirey kese badalti hai.

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India