Relationships
Mere Rango Ki Duniya

Ye mere rango ki duniya hai.

Aana ho agar.. to aana chah se..

Yaha tera rehna zaroori nahi.. in rango mai dhalna majburi nahi..

Do sawal ho agar to be jhijak puch jaana..  Jo na mile jawab to samajh jaana.. jawab dena meri majburi nahi..

Iss shaher tujhe muskurane ki wajah milegi.. bewajah aasu bahane ki jagah milegi.. 

Khuddarr banne ki na milegi sazaa.. bas yaad rakhna jaan bujh kar kisi ka dil dukhana nahi.

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India