Relationships
Mitti se Mitti Tak ka Safar

Mitti se mitti Tak ki doori tu aasman ko chukar paar karna chahta hai..safalta ki chah main tu jaaney kis disha main bhagta hai.

Safalta Jis ki koi paribhasha nahi.. Har koi apni tarah naapta hai..

Kisi ki ek waqt ki roti..to kisi kay liye daawat hai safalta.

Kisi kay liye tan dhakne ko kapdey to kisi kay liye mehenge poshak hai safalta..

Kisi kay liye chaaw to kisi kay liye kothi hai safalta..

Tanha kay liye sath to ghum main apno ka sahara hai safalta..

Kuchh kshan thehar jaa.. lambi saans le fir taey kar apni safalta..

Junoon hai ya Sukoon hai? Ya Junoon main milne wala Sukoon hai teri safalta?

Mitti se mitti Tak kay safar main jo kho kar payega kya wo sach main hai teri safalta?

Teri Chori hui Daulat? Ya vichar dhara hogi safalta?

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India