
Praarthana Unn Rakshako Kay Liye
Teri Bahaduri par aaj fir mujhko garv hai..par Maa hoon aankhir, dil main thoda sa darr hai.
Bhai tune aaj fir desh ki raksha ka vachan nibhaya hai.. hai teri kalayi pe dhaaga mera bhi.. ye vachan bhi tune nibhana hai.
Jiss sindoor ko sajaya tune mang pe meri uski shobha tune badayi hai.. teri bahaduri ne aaj kai sindoor ki umar lambi karayi hai. Intezar hai tera, tuney aa kay fir is mang main sindoor sajana hai.
Papa keh rahe hai ye log kuch.. samajh main mujhe kum aata hai.. bas tere intezar main mera din nikalta jaata hai.. laut kay Jaldi aana.. har sham ghar-ghar khelte huye tere liye chai banati hoon..inn tez aawazo se darti hoon thoda, par teri godi ko yaad kar sambhal jaati hoon. Unn mazboot hatho se tune fir mujhe jhula jhulana hai.. laut kay jaldi aana is baar maine tere liye kuch naya banana hai..
Prabhu Raksha karna inn Bahadur
Rakshako ki.
Proud Indian
Manisha Dawar