Agar tum bas Khirki se Baahar dekh muskura rahein ho, barish main bheegne se katra rahein ho, kathor shareer main bacho sa dil chupa rahe ho, kuch zyada nahi, bas Jeevan kay Khoobsurat pal gava rahein ho.
Yaad Karo....
Kaagaz ki kashti nahi wo thi sapno ki ravani, jawani se bhi khoobsurat wo Bachpan ki Kahani. Jab bhi aati kudrat main chor jaati apni nishani. Mitti or Hawa kay jhaunko sang karti mithi man mani.
In bundho ne Kab thi koi jaat paat pehchani.
Phulo aur patton ko ik samaan khilati, udaas kisi chehrey pe muskuraahat hain laati. Kabhi chum chum karti aati to kabhi rim jhim barasti jaati. Sunn Zara is baar kya sandesha hain laati.
Ik kadam baahar nikal kay to dekh, thakey huye unn hatho ko bhiga kay to dekh. Khud he mil jaayenge khoobsurat shabd, dekhtein he ban jayega ik Sundar lekh.
Kuch aur nahi,
Bas Baraste Iss aasmaan taley chanchal mann ko dekh.
Manisha Dawar
Share your thoughts, comments with us*
Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India
Sawan ki jhadi