
Sukoon
Sukoon chahta Har koi, par anjaney main bhatakta jaata ussey durr. Milta hai so mohabat main. Seedhe sadhe lawzo main.
Talash karta jaaney kaha? Bhool jaata hai ki Sukoon mil sakta hai saadgi main.
Apno sang bitaye waqt main or khul kay khud ko vyakt kar pane ki choti si pehal main.
Sukoon hai bacho ki khilkari main, phulo se bhari kyari main.
Hai Sukoon uss garam parosey khaney main, doston sang bitaye bachpan kay uss zamane main.
Sukoon hai panchiyo ki chehchahat main, arso baad mil rahe uss apne ki aahat main.
Sukoon hai khali beth paryawaran ko dekh paaney main, bin manzil kay lambe raaston pe apno sang chal paaney main.
Sukoon hai aainey main khud ko dekh muskura paaney main. Khudi main kho khud ko dhoond paaney main.
Manisha Dawar