Relationships
Wo Bachpan

Maang saku to mangu gi wo bachpan, jaha teri Godi main he jahan tha basta

Taap aur khushboo se teri sab kuch tha jachta..

Jab tu karti thi Ghar Kay kaam, nazrein tujhko dhundti hongi..

Paake Teri ek jhalak aankhein meri muskurati hongi.

Bol paati hongi nahi par mere Mann ka haal sab tu jaanti hogi..

Na maanti hongi kisi aur Shakti ko..Sab kuch tujhe he maanti hongi.

Ghar wapis aa Papa mujhse nihartey hongey..

Apne karmi hatho se pyaar se mujhse sehlatey hongey. Kabhi apni Godi main to kabhi hawa main uchal mujhe muskuratey dekhte hongey.

Nahi jaanti ab, par kuch kathinayi tab bhi rahi hongi..

Na bol paaney ki taklif.. Sari Duniya lagti hogi anjaan.. Har ik naye ka bhey..

Par teri Godi main simatt kar sab pal bhar main theek ho jaata Hoga.

Mang saku to fir mangu gi wo bacpan..jaha tujhme he fir sansaar Mera Sara Hoga.

Manisha Dawar.

(Full Circle)

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India