Relationships
Zindagi dekha hai tujhe

 

Aey zindagi dekha hai tujhe aaiyne main, kabhi rote to kabhi muskuratey huye.

Dekhi hai Teri subah Dekhi hai Teri shaam, Sundar to hai dono he, rang to aasmaan main dono hain bhartey, bas alag hai naam.

 

Antt ke Bina shuruwat nahin, shuruwat ke Bina antt nahin. Yeah Sach jaantey huye bhi hum aaj Kay alawa zindagi ko dhundte Har kahi.

 

Aiyne ne shayad kabhi na pehchana, par hum sab  ne kabhi na kabhi ye Sach to hain maana, ki Tera Roop or kuch nahi bas humarey apne dilo-dimaag kay Roop main hain dhalta. Kabhi shant Diye sa to kabhi jawala ki bhanti hai jalta.

 

Manisha Dawar 

 

 

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India