Do vipreet se lagte shabd bana baithe aaj ek dal, bayaan karun inka astitv kese, dil main hain mach rahi hal chal.
Khal khal karta nadiya ka pani gum ho apni raah se phasa mitti main jaaney kis pal, ho na paya fir wo alag uss se, majburan bann baitha wo dal dal.
Apney us apney ki taalash main behta ja raha tha him se nikalta agla wo jal, bhent chadah wo sury ki taap ko, pahunch na paya apni manzil par vashpilaran se bann gaya wo baadal
. Dal dal ne fir lagayi guhar, bas bahut hua ye judai ka atyachar, rab se kar baitha wo takrar, dila mujhe mere apno ka pyar.
Aakash main jab fir hui garjan, badal ko upar dekh fir uskey mann main jhalka apnaa pan. Dekh dal dal ko badal barsa, kehne ko apni bhawnaye wo jane kab se tha tarsaa, ghumta raha ambar main dhundha tujhe na janey kaha kaha, aaj jo dikha hai tu mujhe nyochavar kardu tujhpe apna jahan.
Milan ki jab ayi bela apney astitv ko fir baadal ne dhakela. Mil betha wo apney pyare se, kehne laga ambar main nahi tujh sang is dharti par hai mera dera.
Ab na koi dikha payega humpe apna bal, phans jayega apni he chaal main, maana kal tak the hum dal dal or baadal par ab bann baithe hum ek he dal.
Manisha Dawar
Share your thoughts, comments with us*
Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India
dal dal aur badal