Relationships
dosti badi he hassen hai

Pehli he nazar main hua tha asar, is kadar aayenge karib na thi khabar.

Kal tak tu lugta tha anjaan, aaj lugta hai apni he parchai ke samaan.

Ankahein mere shabdo ko samjha tuney, is kadar tu meri zindagi main samaya, nishtha thi wo tere niswarth saath ki, ki tu mera dost kehlaya. Tera ye beintahan pyar suroor bann meri zindagi pe chaaya

Kabhi na dikhi tujhko mujh main kami, padh leta hai meri hasi ke pichey chupi ankhon ki nami. Ichao pe meri teri khawishey thami, dekhne ko mujhe muskurata, tu ik kar deta hai aasman or zameen.

Ankhein jo meri dekhain sapna adhura, himat de kar mujhe tu karta hai unko pura.

Kathinayio main agar kabhi main ghabrati, akela mehsus kar jo kabhi ladkhadati, thaam leta hai tu mera hath bann padta hai mere jeewan ka sathi.

Tere sang bitaya har pal lugta hai mujhko mela, mere har jazbaat ko hai tune Namrata se jhela. Tujh sang sundar lugti hai zindagi ki har bela.

Gum main bhi tu mujhe muskurana sikhata, apni zindagi main meri mehtwata batata, deta mera har kadam par saath or iska kabhi ehsaan na jatata, ladta kabhi to kabhi mujhko manata, chedta kabhi to kabhi mujhko satata, par har dagar mera sath nibhata tabhi to humari dosti ka ye rishta itna khubsurat kehlata.

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India